Hum se taskheer muqadar k sitaray na huay

Hum se taskheer muqadar k sitaray na huay,
Zindgi aap thay, aap hmaray na huay,
Phir btao k bhala kis pe sitam dhaao gay,
Shehr-e-ulfat mein agar dard k maaray na huay,
Such to ye hai k bina us k guzara jeevan,
Ye b such hai k bina us k guzaaray na huay,
Is liay apna milan ho b nahi skta tha,
Aik, darya k kbhi donoon kinaray na huay ,
Toot jatay hain sbhi piaar k rishtay aksar,
Kachy dhaagay to kisi k b sahaary na huay...!