Safha-e-waQt pe tehreer badaL jati hai

Safha-e-waQt pe tehreer badaL jati hai
Aayat-e-hijr ki tafseer badaL jati hai
Aisa aik waQt bhi aata hy meri neend pe jab
Khwab se pehLy hi ta'beer badaL jati hai
Ab to har Lamha mera Qaid main cut jata hai
FarQ sirf itna hy zanjeer badaL jati hai
WaQt har baat ko mehfooz to kar Leta hai
Haan magr baat ki taa'seer badal jati hai
Parhta rehta hoon main hathon ki Lakeerain youn hi
Main nay suna tha k taQdeer badal jati hai.