..Saath chalney waley jab Saath chhorr jatey hain (Rog)

" ROG "
..Saath chalney waley jab
Saath chhorr jatey hain
Waqt thum nahin jata
Zindagi nahin rukti
Raaston ko chalna hai
Raastey to chaltey hain
Yaar dost miltey hain
Zakhum aisey siltey hain
Gard gard lamhon mein
Umar kat hi jati hai
Kuch musafron ko bas manzilain nahin miltein
Na-janey kyun bichharr jatey hain woh log
Jin ki yaaden ban jati hain umar bhar ka "ROG"